14 June 2011

MERI CHAHAT



Mere alfazon ko jhuth na samjhna,
yaad aati ho bahut milne ki dua karna,
jee raha hoon tumhara naam lekar,
mar jau to bewafa na samajhna.

Kaise kahu ki apna bana lo mujhe,
Bahaon me apni sama lo mujhe,
Bin tumhare ek pal bhi katta nahi,
Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe..

Har raat 1 dhun gungunati hai,
har phool se mehak zarur ati hai,
apke man me beshak hamara khayal tak na ho,
par hame to har waqt aapki yaad aati hai…

Majboor the mohabbat hum jata na sake,
Zakhm khate rahe kisi ko bata na sake..
Chahato ki had tak chaaha use....
Sirf apna Dil nikaal kar use dikha na sake..